Islamic Quotes In Urdu | Afwo Darguzar Ka Qabil e Taqleed Manzar!
Description:
Nabi s.a.w.w. ki zaat e mubarika hum sab ky liye aik umda namoona hy. Hum sab ko humary pyary Nabi s.a.w.w. ki pairvi karni chahye. Dekhye kesy aik baddu kitni bad salooki sy humary pyary Nabi s.a.w.w. sy paish ata hy magar qurban jaen us Rehmat ul lil aalameen par us ny na danta na sarzanish ki. Bal ky us ki janib dekh kar muskuraye aur us ki jo hajat thi puri ki. Agar aisa salook hum sy kia jaye to hum to ghussy sy aag bagola ho jayen aur apni ana ki khatir aisy shakhs ko dhutkar den aur us shakhs ki hajat kabhi puri na karen. Jab ky hamary Nabi s.a.w.w. ny kitni rehmat ka muzahira kia hy aur sabit kia hy ky beshak wo tamam aalam ky liye rehmat bana kar bhejy gaye.
Islamic Quotes In Urdu | Afwo Darguzar Ka
Qabil e Taqleed Manzar!
Hadees e Rasool S.A.W.W. Hy:
Anas bin malik R.A. farmaty hen ky main Nabi Kareem
s.a.w.w. ky sath chalta hua ja raha tha, Aap s.a.w.w. ky
jasd e athar par moty kinari wali najran ki bani hui chadar
thi. Itny mein aik deehati Aap s.a.w.w. ky pas aya aur us ny
Aap s.a.w.w. ki chadar bari zor sy kheenchi, yahan tak ky
main ny Aap s.a.w.w. ky kandhy ky kony par dekha ky
zor sy khenchy jany ki waja sy nishan par gaya, phir us
deehati ny kaha: Aey Muhammad s.a.w.w. Allah ka jo maal
Aap ky pas hy us mein sy mujhy kuch deny ka hukm karo.
(Itna sakht rawaiya aur lehja ikhtiar karny ky bawajud bhi)
Aap s.a.w.w. us ki janib mutawajha huye, muskuraye aur
phir usy maal deny ka hukm irshad farmaya.
No comments