Breaking News

Islamic Quotes In Urdu | Zalzaly Ky Jhatky Ya Khatry Ki Ghanti?

Description:
Allah Taala apni makhloq sy bohat pyar karty hen. Lekin insan hy ky na farmani py na farmani karta hi chala jata hy. Jesy aik bap apny bachy ki pehli ghalti par pyar sy samjhata hy ky ayenda aisa na karna agar wo phir karta hy to halki dant dapat sy samjhata hy. Us ky bad bhi agar wo ghalti karta hy to usy sudharny ky liye us ka bap usy marta bhi hy. Is ka ye har giz matlab nahi ky wo bap zalim hy bal ky wo bachy ki islah ky liye ye sab karta hy. Isi tarah Rab Taala jo 70 maon sy bhi zada insan sy pyar karta hy wo insan ko sudharny ky liye waqtan fawaqtan choty moty azab bhejta rehta hy ky shayad ye palat ayen shayad ye sedhy rasty par ajaen shayad ye tauba kar len. Warna qayamat ky din to koi tauba qabol nahi ho gi us din to bus sab sy bara azab dia jaye ga.

Islamic Quotes In Urdu | Zalzaly Ky Jhatky Ya 
Khatry Ki Ghanti?


Irshad e Bari Taala Hy:
"Aur us (qayamat ky) bary azab sy pehly bhi hum unhen 
kam darjy ky azab ka maza bhi zarur chakhayen gy, 
shayad ye baaz ajaen."


No comments