Breaking News

Jaisi Mout Waisi Aaqbat | Quotes Of Muhammad S.A.W.W.

Description:
Agar raasta khubsurat hy to pata kar lo ky ye kahan jata hy aur is ki manzil kia hy? Lekin agar manzil ka pata ho aur manzil khubsurat ho to raasty ki parwaah nahi karni chahye. Isi liye kehty hen ky agar end acha ho to safar ki takleefen bhol jati hen aur agar end hi kharab ho to safar mein kiye gaye sab mazy bekar lagty hen. Ye sab to dunia ki misaalen hen bilkul isi tarha akhirat ka bhi yahi mamla hy. Agar aik insan dunia mein moj masti karta hua mar gaya magar us ny toba na ki to us ki dunia ki moj masti kuch bhi nahi kion ky akhirat ki zindgi mein us ko azab ho ga aur jo hamesha rahy ga. Lekin agar wohi shakhs Allah aur us ky Rasool s.a.w.w. ki itaat mein zindgi basar karta aur chahy kitni hi takleefen ati magar wo sabar karta aur iman ki halat mein jan deta to us ki wo takleefen kuch bhi nahi. Kion ky akhirat mein usy jannat ki lazawal naimaten milen gi.
Allah Pak sy dua go hen ky humen zinda rakhy to islam par aur jab mout dy to hum us ky khalis momin bandy hon. Ameen Suma Ameen

Jaisi Mout Waisi Aaqbat | Quotes Of 
Muhammad S.A.W.W.


Nabi Akram S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Har insan ko (qayamat ky din) usi halat mein uthaya
 jaye ga jis halat mein us ki mout ayi thi.


No comments