Khud Gharz Log | Quote Of The Day
Description:
Kuch log aisy hoty hen jo logon sy taluq sirf apny faidy aur matlab ky liye rakhty hen. Jaisy hi matlab pura hota hy un ka wo taluq wo rishta khatam ho jata hy aur wo kisi aur sy naya rishta jor lety hen jin sy un ka naya matlab jura hota hy. Aisy log khud gharz au matlab parast kehlaty hen jo sirf apny faidy ko ahmiat dety hen rishton ko nahi. Lekin aik waqt aisa bhi ata hy jab log un ki is tabiat ko samajh jaty hen aur un sy kinara kashi ko hi behtar samajhty hen. Tab un ki list mein jo log bachy hoty hen wo sirf wahi hoty hen jin ko wo das chuky hoty hen aur apna zehar un mein chor chuky hoty hen. Tab wo apni bohat hi zarurat ky liye bhi un ky pas jaty hen to wo log un ka sath nahi dety kion ky unhen pata chal gaya hota hy ky matlab khatam hoty hi us ny phir munh mor lena. Ye bohat ghalat bat hy humen rishton ko ahmiat deni chahye na ky apny kam aur matlab ko.
Khud Gharz Log | Quote Of The Day
Quote Of The Day:
Logon ko tissue paper ki tarah istamal
kar ky phainkny walon ki apni zindgi
dust bin ban jati hy.
No comments