Breaking News

Mairaj Un Nabi Quotes | Best Islamic Quotes

Description:
Nabi s.a.w.w. ky is quote mein aasmani mairaj ka waqia bayan hua hy jis mein ummat e muhammadia s.a.w.w. ko nimazon ka khubsurat tohfa nabi ky zarye sy mila hy. Baaz log aasmani mairaj ka inkar karty hen aur kehty hen ky sirf khawab mein mairaj hui hy. Aisa nahi hy dosto kion ky ahaadees ki kitabon sy humen ye pata chalta hy ky nabi s.a.w.w. ko dono tarah sy mairaj karai gai. Aamaan par bhy ly jaya gaya aur khawab ky zarye bhi. Is hadees mein jo musa a.s. ny har bar nimaz mein kami ki bat ki wo apni ummat ki rawish ki bina par kion ky un ki ummat par sirf 2 nimazen farz thin magar wo log un 2 ko bhi ada na kar paty thy is liye musa a.s. ny itni nimazon mein takhfeef karny ki tawajoh dilai. Aur humary Rab ki shan daikhye ky amal ky lihaz sy hum 5 nimazen parhty hen magar ajar ky lihaz sy humen un 50 nimazon ka hi sawab milta hy.
Nimaz qayam karo.

Mairaj Un Nabi Quotes | Best Islamic Quotes


Nabi Kareem S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
(Mairaj ky moqy par) Allah Subhan ho Wataala ny 
meri ummat par 50 nimazen farz keen. Main nimaz
 ka hukm ly kar wapis hua, jab musa a.s. tak pohncha
 to unhon ny pucha ky aap ki ummat par allah ny kia
 farz kia hy? Main ny kaha:"50 Nimazen farz ki hen".
 Unhon ny farmaya: aap wapis apny rab ki bargaah 
mein jaen, kion ky aap ki ummat itni nimazon ko ada
 karny ki taqat nahi rakhti hy. Main wapis Rabbul izzat
 ki bargaah mein gaya to allah ny us mein sy aik hissa
 kam kar dia. Main phir musa a.s. ky pas aya aur kaha
 ky aik hissa kar dia gaya hy, unhon ny kaha ky dobara
 jayiye kion ky ap ki ummat mein is ki bhi taqat nahi hy.
 Main phir bargaah e rabbul izzat mein hazir hua to
 allah taala ny aik hissa aur kam kar dia. Main jab 
musa a.s. ky pas pohncha to unhon ny farmaya ky
 apny rab ki bargaah mein phir jayiye, kion ky aap ki
 ummat mein is ki bhi taqat nahi. Main wapis louta to
 allah subhan ho wataala ny farmaya ky ye nimazen 
(amal mein) 5 hen lekin (ajar o sawab mein) 50 nimazon
 ky barabar hen, meri baat badli nahi jati.
Ab main musa a.s. ky pas aya to unhon ny phir farmaya
 ky apny rab ky pas wapis jayiyr (aur mazeed kami ki
 darkhwast kijye). Lekin main ny kaha mujhy ab 
apny rab sy haya ati hy. Phir jibrail a.s. mujhy sidratul
 muntaha tak ly gaye jisy kai tarah ky rangon ny 
dhank rakha tha. Jin ky mutaliq mujhy malum nahi
 hua ky wo kia hen. Is ky bad mujhy jannat mein ly
 jaya gaya, main ny dekha ky is mein motiyon ky haar hen
 aur is ki mitti mushk ki hy.


No comments