Breaking News

Muhammad S.A.W.W. Quotes | Naram Mizaji

Description:
Aik mash'hoor o maaroof qoul hy ky ghussa insan ki aqal ko kha jata hy. Aur ye bat waqai sach hy kion ky jab insan ghussy mein hota hy us waqt usy nahi maloom hota ky wo kia kar raha hy. Jaisa ky insan ghussy mein qatal kar deta hy, bv ko talaq dy deta hy, apny kisi bary ko gali galoch kar deta hy ya apny kisi choty bachy ko marta hy lekin phir bad mein pachtata hy ky main ny ye kia kar dia. Isi liye farmaya gaya ky jo insan naram mizaj ka ho ga wo sab sy acha insan hy. Kion ky har kam ka anjam us ki bunyad par tika hota hy. Aur har bhalai aur har achi bat ki bunyad us shakhs ky rawaye par depend karti hy isi liye jab aik shakhs naram mizaj ho ga to us ka har kam aqal sy soch kar aur pury itminan ky sath ho ga. Warna aik ghussy wala shakhs to waqri jazbat ky zair e asar koi bhi faisla ly sakta hy. Is qoul mein yahi farmaya gaya hy ky agar kisi shakhs ko naram mizaji nahi di gai to samjho ky us sy har bhalai aur khair mehroom kar dia gaya hy.

Muhammad S.A.W.W. Quotes | Naram Mizaji


Qoul e Rasool e Maqbool S.A.W.W. Hy:
Jareer R.A. sy riwayat hy ky Rasool Allah s.a.w.w.
 ny farmaya:
Jo shakhs narmi sy mehroom raha wo sari hi khairon
 sy mehroom raha.


No comments