Breaking News

Nimaz Chorny Ka Anjaam | Islamic Quotes

Description:
Aamaal mein insan sy sab sy pehla sawal hi nimaz ka kia jaye ga. Agar koi insan pehly sawal mein hi pas na ho paye to baqi ka imtehan kesy par kary ga. Aur Allah ky Rasool s.a.w.w. ny farmaya nimaz meri ankhon ki thandak hy. Nimaz parhny sy insan bohat si buraion sy ruk jata hy to gunah na karny ky sabab us ka rizq faraakh ka dia jata hy. Aur farmaya gaya ky jo shakhs isha ki nimaz nahi parhta to wo ye guman kesy kar sakta hy ky rat ko usy pur sukoon neend aye gi. Aur jab nimaz hi chor di to kesi barkat kesi rahat us ki zindgi mein rahy gi. Yahan tak riwayaat ayi hen ky jab insan nimaz nahi parhta to wo gunah ki taraf raghib ho jata hy aur us ky gunah karny ky sabab us ky maqaddar ka rizq bhi kam kar dia jata hy. Please dosto nimaz qayam karo kion ky nimaz fahashi aur deegar buraion sy rokti hy.

Nimaz Chorny Ka Anjaam | Islamic Quotes


Nimaz Quote:
Agar tum ny nimaz chori to samajh lo ky rahat
 aur barkat bhi tumhen chor gai.


No comments