Takbeer e Oola Ki Ahmiat | Islamic Quotes
Description:
Takbeer e oola ky sath nimaz ki bohat ahmiat hy jesa ky is hadees mubarik sy bhi sabit hota hy. Nimaz mein takbeer e oola ka itna sawab hy ky aik bar aik sahabi ka koi Relative fot hua to us ny Nabi s.a.w.w. sy shikayat ki ky fulan sahabi mujh sy taaziat karny nahi aya jab us sahabi ko pata laga to us ny Nabi s.a.w.w. ko jo jawab dia us sy ap ko takbeer e oola ky sawab ka pata lag jaye ga. Us sahabi ny kaha ky Aey Allah ky Rasool s.a.w.w. aik martaba meri takbeer oola fot ho gai thi to is shakhs ny mujh sy taaziat nahi ki thi is liye main ny bhi nahi ki. Ye hy takbeer e oola sy mohabbat aur us ky ajar ki talab. Allah Pak hum sab ko takbeer e oola ky sath bajamat nimaz ada karny ki tofeeq ata farmaye. Ameen
Takbeer e Oola Ki Ahmiat | Islamic Quotes
Rasool Allah S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Jis ny 40 din tak takbeer e oola ky sath ba jamat nimaz
ada ki, usy 2 parwany ata kiye jaty hen.
1) Jahanum sy chutkary ka
2) Nifaq (munafqat) sy bari hony ka.
No comments