Breaking News

Allah Ki Raah Mein Hona | Qoute Of The Day

Description:
Allah ki Raah mein jihad karna hi sirf Allah ki raah mein lagy rehny ka naam nahi. Is riwayat ky mutabiq Nabi s.a.w.w. ka yahi farman hai ky jo insan apny bal bachon ki khatir dor dhop karta hai us ki wo justju bhi Allah ki raah mein likhi jati hai. Agar aik nojawan apny maa bap ki zaroriyat puri karny ki koshish mein laga hua hai to us ki ye koshish bhi Allah ki raah mein likhi jaye gi. Agar aik insan is liye mehnat mazdoori kar raha hai ky wo logon sy bheek mangny sy bacha rahy ga to ye mehnat bhi Allah ki raah mein likhi jaye gi ky bheek mangna islam mein bohat hi buri baat hai. Agar aik insan apny biwi bachon aur ghar walon ki zaroraten puri karny ki gharz sy mehnat karta hai koshish karta hai to ye bhi Allah ky rasty mein likha jaye ga. Islam aik aisa deen hai jis mein Nabi s.a.w.w. ki pairvi karny par har aik kaam ko Allah ki raah mein likha jaye ga aur usy us kam ka bohat ajar o sawab mily ga.

Allah Ki Raah Mein Hona | Qoute Of The Day


Daily Islamic Quotes:
Aik shakhs Rasool Allah s.a.w.w. ky pas sy guzra to 
sahaba kiram r.a. ny us ky taqat war jism aur us ki 
chusti ko dekh kar bohat tajub ka izhar kia aur kehny
 lagy: Ya Rasool Allah! (Kaash) Is shakhs ki 
taqat o jawani aur chusti o mustadi Allah ky rasty 
mein kharch hoti!!!
Rasool Allah s.a.w.w. ny irshad farmaya:
> (Aisa na kaho) Agar us ki ye bhag dor apny choty 
bachon ki khatir hy to ye Allah hi ky rasty mein hy.
> Isi tarha agar ye apny burhy waldain ki zaroriyat 
puri karny ky liye nikla hy to phir bhi ye Allah ky
 rasty mein hy.
> Aur agar ye is liye mehnat kar raha hy ky apny ap ko
 dast e sawal phaily sy bachaye to ye bhi Allah hi ky
 rasty mein shumar ho ga.
> Aur agar ye apny aehl e khana ki zarooriyat puri 
karny ki gharaz sy nikla hy to isy bhi Allah ka rasta
 hi kaha jaye ga.
Han agar is ki ye jid o jahad is liye hy ky ye dusron 
par fakhar aur barai jataye aur apni daulat mandi ka
 muzahira kary to phir is ki ye dor dhop shaitan ky
 rasty mein hy.


No comments