Breaking News

Astaghfar Ki Fazeelat | Islamic Quotes In Urdu

Description:
Mery Rab e karim ki shan ky dekhye ky agar insan koi naiki ka kaam sochta hy to us ky sirf sochny par aik naiki likh di jati hy. Aur jab wo us naiki karny ka musammam irada kar leta hy to us ky liye 10 naikian likh di jati hen aur jab wo naiki kar leta hy to Rab us ki naiki ko 70 sy ly kar 700 gunah tak barha daita hy. Lekin jab koi insan kisi gunah ky kam ka sochta hy to us ki soch par koi gunah nahi. Jab wo us kam ka musammam irada kar leta hy tab bhi koi gunah nahi likha jata kion ky Rab ko us ky palatny ki umeed hoti hy. Lekin agar phir bhi wo gunah bhi kar bithta hy to tab bhi mera Ghafoor aur Raheem Rab farishty ko kehta hy ky 6 ghanty tak is ka gunah na likh shayad ye mujh sy tuaba kar ly. Ye hy mery Rab ki shan e rahimi o karimi jo naiki sochny par hi naikian likhna shuro kar daita hy aur gunah karny par bhi kuch waqt tak gunah nahi likha jata ky shayad ye tauba kar ly. Lekin agar wo badbakht insan tab bhi astaghfar nahi karta to us ky aik gunah ky badly aik gunah likh dia jata hy. Allah Subhan ho Wataala ki is mohlat sy agar hum faida na uthaen to bari mehroomi aur bad naseebi ki bat hy.

Istighfar Ki Fazeelat | Islamic Quotes In Urdu


Hadees e Rasool S.A.W.W. Hy:
Abu imama r.a. sy riwayat hy ky Rasool Allah s.a.w.w.
 ny irshad farmaya:
Bayen taraf wala (yani gunah likhny par maamoor frishta)
 gunah karny waly musalman (ka gunah likhny) sy 6 
ghanty tak qalam uthaye rakhta hy, agar wo (gunah
 gar shakhs is doran) apny kiye par nadim ho jaye aur
 allah sy tauba o astaghfar kar ly to wo farishta gunah 
nahi likhta, agar tauba na kary to (aik gunah ky
 badly) aik gunah likh leta hy,


No comments