Breaking News

Aulaad Ky Haqooq | Islamic Quotes

Description:
Har insan ky Allah pak ny kuch haqooq banaye hen. Aulad ky haqooq waldain par farz hain jo unhen har hal mein ada karny hen. Un haqooq mein sy jo haqooq pedaish sy pehly ky hen wo darj zail hain:
1) Naik aur saleh aulad ky hasool ki duayen karna.
2) Aulad ky liye naik, shareef aur pakdaman maa (aur nanhiyali rishta daron) ka intikhab karna.
3) Maa ki deeni tarbiyat karna (pedaish sy pehly bhi aur bad mein bhi maa ki tarbiyat ka amal jari rakhna).
4) Maa ky pait mein bachy ki hifazat karna.
5) Maa ky pait sy ly kar dunia mein any tak bachy ko zinda rakhny ki mumkina tadaabeer ikhtiyar karna.

Aulaad Ky Haqooq | Islamic Quotes


Aulad Quotes:
Pedaish ky bad bachon ky haqooq:
1> Khushi ka izhar aur Allah ka shukar ada karna,
 phir dayen kaan mein azan aur bayen kan 
mein aqamat kehna.
2> tahneek karna (Yani kisi naik aadmi ya bazurg ky
 munh mien khajur waghaira dena aur phir no molood
 bachy ky munh mien khajur ka narm hissa dal kar
 us ky talu sy mal dena).
3> Aqeeqa karna.
4> Umda naam ka intikhab karna.
5> Khatna karwana.
6> Baap ky naam o nasab ki taraf unhen mansoob karna.
7> Dodh, ghiza aur ilaj o mualjy ka band o bast karna.
8> Aulad ki islami taleem o tarbiyat karna.
9> Aulad ko dunyavi ilm o hunar sikha kar zindgi
 guzarny aur rozgar ky qabil banana.
10> Aulad ky sath shafqat o hamdardi ka muamla aur
 un ky darmiyan adal o insaf sy kam lena.
11> Dastoor ky mutabiq aulad par kharch karna aur 
hasb e istataaat in ky liye jama poonji chor kar marna.
12> Aulad ki ghaltiyon o kotahiyon ki nishandahi aur phir
 hikmat o baseerat sy sar zanish aur islah karna.
13> Aulad ky baligh ho jany ky baad kisi munasib jaga
 in ki shadi ka jald az jald bando bast karna.
14> Aulad ko hamesha muaf karna, kabhi bad dua na dena.
15> Aulad aur aulad ki aulad ky liye hamesha
 duaye khair karty rehna.


No comments