Breaking News

Aurat Aur Dunia Ky Makar | Quotes In Islam

Description:
Allah Pak ny jahan aurat ky sath narmi ka hukm dia hy aur farmaya hy ky aurat tairhi pasli sy paida ki gai hy agar usy sedha karny (yani us ky sath sakhti karo gy) ki koshish karo gy to wo toot jaye gi. Aur farmaya ky aurat naqis ul aqal hoti hy isi liye gawahi ky liye aik mard ki jaga par do aurten gawahi dain gi. Matlab do auraten aik mard ky barabar hen. Lekin wahin par ye bhi farmaya gaya ky aurat ky faraib sy bacho kion ky ye bary baron ki aqal zayal kar daiti hen. Is hadees mein aurat ky faraib sy bachny ky sath sath dunia ki ranginion sy bhi bachny ki takeed ki gai hy. Kion ky ye dunia kafir ky liye jannat hy jab ky aik musalman ky liye qaid khana. Kion ky kafir apni mann marzi sy jeeta hy yahan lekin akhirat mein tabah o barbad ho jaye ga. Aur momin yahan har qadam phonk phonk kar rakhta hy ky kahin Rab ki na farmani na ho jaye lekin is ka badla usy akhirat mein mily ga. Is liye dunia dhoka deny ki jaga hy is sy bachna ho ga akhirat mein jannat ki lazawal naimaten hasil karny ky liye.

Aurat Aur Dunia Ky Makar | Quotes In Islam


Hadees e Rasool S.A.W.W. Hy:
Abu saeed khudri r.a. sy riwayat hy ky Rasool
 Allah s.a.w.w. ny irshad farmaya: "Aey insano! 
Ye dunia bari jazib e nazar aur meethi hy, aur 
Allah Taala ny tumhen is mein khalifa (janasheen) 
banaya hy ta ky wo daikhy ky tum is mein kesy 
aamaal karty ho? Pas dunia ky dhoky sy bacho aur 
aurton ky makr o faraib sy bacho, kion ky bani israil
 ki tabahi ka pehla sabab aurton ky fitny ki 
shakal mein tha.


No comments