Breaking News

Halab War | Daily Best Quotes

Description:
Halab sham ka aik shehar hy jo ky sab sy zayada ahmiat ka hamil hy. Bishar ul asad, roosi afwaaj aur irani pasdaran e inqalab ny halab shehar ki eent sy eent baja di hy. Hospitals, clinics, schools, colleges, bazaron aur masjidon py bambari jari hy. Aur masoom bachy, oraten aur mard khon mein nahaye nazar aa rahy hen. Is zulm o darindagi ky pechy aik khas soch aur sazish hy jo is shehar ki khasosiat ki waja sy is par ye sab ho raha. Wo khasosiat is post mein ap ko nazar ayen gi aur ap bakhobi samajh jayen gy ky aisa kion kar ho raha hy.

Halab War | Daily Best Quotes


Daily Quotes:
1> Ye shaam ka sab sy bara shehar hy jo 
qadeem saqafaton ka markaz hy.
2> Ye shehar Umer bin Alkhattab R.A. ky dor e khilafat
 mein fatah hua aur hamesha muslim hukmaranon ki
 tawajohaat ka markaz bana raha.
3> Ye shehar "Shair islam sultan imad ud din zangi"
 ka darul khilafa raha.
5> Isi shehar sy sultan noor ud din zangi batil quwaton
 ko lalkarty aur un ki cheera dastion ka muqabla
 karty rahy.
6> Is shehar ny sultan salah ud din ayubi ko jaga di,
 jinhon ny 1187 mein eourope ki mutahidda afwaj 
ko ibrat naak shikast dy kar bait ul maqdas
 aazaad karwaya.
7> Is shehar mein sultan rukn ud din babrak ky hathon
 tatari shikast khaty aur bhagty nazar aye.
8> Ye shehar uloom o fanon aur tijarat o siyasat ka
 har dor mein markaz raha hy.
9> Is shehar ky ghayur log qatil bishar ul asad,
 is ky baap hafiz ul asad aur deegar istemari
 taqaton ky aagy hamesha daty rahy.


No comments