Breaking News

Hasad Quotes In Urdu | Muhammad S.A.W.W. Quotes & Sayings

Description:
Hasad ki aag mein jalny waly log apna nuqsan aap karty hen. Hasad ky zariye wo kisi ka kuch nahi bigarty wo apny aap ko hi takleef dety hen. Sab sy pehly jab wo hasad karty hen to unhen zehni pareshani ho jati hai ky us ky pas ye sab kuch hai mery pas kion nahi. Isi chakar mein wo apna khon jalaty rehty hen ye bhi us ka apna hi nuqsan hai jis ky bayis usy moozi marz lahaq ho sakty hen. Ye dunyavi tor py nuqsan thy aur deen ky lihaz sy jab wo kisi ky liye hasad kary ga to us ki naikiyan itni jaldi khatam ho jayen gi jaisy khushk lakri ko aag khatak kar deti hai. Ap ny suna to ho ga ky jangal mein aag ki tarah phailna, ye isi liye hota hai ky wahan ki lakrian khushk hoti hen aur aik chingari sy pura jangal jal kar khak ho jata hai. Isi tarah chahy naikiyon ka dhair hi kion na ho lekin jab banda hasad karta hai to wo sab naikiyan minton mein khatam ho jati hen. Lihaza hasad sy jitna ho saky bacho.

Hasad Quotes In Urdu | Muhammad S.A.W.W. 
Quotes & Sayings


Quotes Of Muhammad S.A.W.W.
Abu Huraira r.a. sy riwayat hai ky Rasool Allah s.a.w.w.
 ny irshad farmaya: "Hasad sy bacho. Kion ky hasad
 naikiyon ko is tarah kha jata hai jis tarah aag lakri 
ya khushk ghaas ko kha jati hai".


1 comment: