Breaking News

Khilafat e Usmania Ky Zawal Ky Asbaab | Islamic Quotes

Description:
(1299-1922) kam o baish 6 sadion tak mashriqi europe samait 3 barr e azamon mein 40 lakh murabba meel ky wasee o areez raqby par khilafat e usmania ka jhanda lehrata raha. Khilafat ky hukmaran agarchey turk nazad thy , magar saltanat ky saye mein arbi, kurdi, unani, balghari, bosaniyai aur sarbi aqwaam ky eesai, yahoodi aur deegar mazahib sy taaluq rakhny waly karoron insan pur aman zindgi guzarty rahy. 600 salon mein saltanat e usmania mein kabhi bhi europi o maghribi mumalik ki tarah khana jangi nahi hui aur na hi kabhi deeni o mazhabi jharpen manzar e aam par ayin. Musalmanon ki is azeem us shan khilafat ka suraj 28 rajab 1342 hijri ba mutabiq 3 march 1924 ko gharoob kar dia gaya.

Khilafat e Usmania Ky Zawal Ky Asbaab | Islamic Quotes


Khilafat e Usmania:
Khilafat e Usmania ky zawal aur saqoot ky
chand aeham asbaab darj zail hen:
1) Lisaniyat, asbiyat aur qoum parasti ka nasoor.
2) Maghribi dunia ki sazishen bilkhasoos falasteen
 mein yahoodi riyasat ka mansuba.
3) Pehli jang e azeem mein khilafat ky ittihadion ki shaikast.
4) Riyasati amoor mein wasee paimany par bad intizami.
5) Maali bad unwanion aur rishwat satani ka urooj.
6) Bhari bharkam ghair mulki qarzon ka bojh.
7) Kamal atatarik aur us jaisy deegar dahrion aur
 ghaddaron ka aala tareen ohdon tak pohanchna.


No comments