Breaking News

Murda Dil Aur Nimaz Sy Ghaflat | Islamic Quotes

Description:
Allah pak ny irshad farmaya hai ky jab insan aik gunah karta hai to us ky dil par aik kala nishan laga dia jata hai aur jab wo toba kar leta hai to wo nishan mita dia jata hai. Lekin agar toba na ki jaye aur gunah par gunah karty jayen to har aik gunah ky badly aik nishan lagta jata hai aur aik din aisa ata hai ky humara sara dil kala ho jata hai, aur Allah ny dil ki is halat ko murda dili kaha hai. Aur jab insan ka dil murda ho jaye to koi waaz o naseehat us par asar nahi karti. Is quote main bhi yahi kaha gaya hai ky toba ky zarye apny dil ko jagao usy zinda karo kion ky gunahon ki kasrat ky sabab wo murda ho chuka hai. Jab ap ka dil zinda ho ga to khud ba khud ap ka dil nimaz mein lagy ga aur tab ap ko alarm ya loud speaker ki zarurat nahi pary gi bal ky ap khud hi nimaz ky waqt py uth jayen gy aur nimaz ada karen gy.

Murda Dil Aur Nimaz Sy Ghaflat | Islamic Quotes


Daily Islamic Quotes:
1350 salon tak ummat e Muhammadiya ny baghair 
loud speaker ki azanon aur baghair alarm wali 
ghariyon ky subh jaag kar nimaz e fajar pabandi sy
 ada ki hai. Us zamany mein itaat e khuda vandi ka
 jazba dil mein mojzan rehta tha aur dil hi nimaz e fajar
 ky liye jagaya karty thy. Ab gunah karty karty
 humary dil murda ho chuky hen jis ki waja sy hum
 fajar mein soty rehty hen, ab na alarm wali ghariyan
 kaam aa rahi hen, aur na hi taiz awaz waly loud speaker...


No comments