Breaking News

Qaboliyat e Dua Ki Khas Ghari | Juma Quotes

Description:
Jumma ky din ki ahadees mein bohat fazeelat bayan ki gai hy. Jaisa ky is post mein bhi jumma ky din qabooliyat e dua ki aik khas ghari ka hukm farmaya gaya hy. Aksar log ye sawal karty hen ky kia juma ky pury din hi dua mangny sy qabool ho gi ya koi aik khas waqt hy? Qabooliyat e dua ki wo khas ghari kon si hy, is ky bary mein muhaddiseen ky 2 qoul rajeh (yani zayada maqbool aur sahi) hen:
1> Imaam ky khutba e jumma shuro karny sy nimaz e jumma ki farz nimaz ky ikhtitam tak.(Sahi Muslim)
2> Jumma ky din ky ikhtitam par maghrib sy thori dair qabal.(Abo Daud)
Allah Pak hum sab ko in saadat ki gharion mein jaiz khawahishat ki dua mangny ki tofeeq ata farmaye, kion ky humara ye yaqeen hy ky in gharion mein jo mangy gy wo zaroor mily ga. Ameen Ya Rab ul Alameen.

Qaboliyat e Dua Ki Khas Ghari | Juma Quotes


Islamic Quote Of Jumma:
Rasool Allah s.a.w.w. ny juma tul mubarik ka zikar
 karty huye irshad farmaya: "Juma ky din aik aisi ghari
 hy jis mein agar koi musalman banda nimaz parh raha
 ho aur Allah Suban Wa Taala sy koi cheiz mangy to
 Allah usy wo cheiz zaroor ata farmaty hen. Phir 
Aap s.a.w.w. ny hath ky ishary sy batlaya ky 
wo ghari bohat thori si hy.


No comments