Breaking News

Saffon Ky Ahkam | Nimaz Quotes

Description:
Allah ky paighambar Muhammad e Arbi s.a.w.w. ny nimaz ky waqt jamat mein safon ka sedha karny ky bary mein bohat zor dia hai. Aik sahabi bayan karty hen ky eid aur jumma ki nimaz mein humari duty lagai jati thi ky saf bandi thek karayen. Ap andaza laga len ky saf ki darustgi kitni ahmiat rakhti ho gi jis ky liye sahaba ki duty lagai jati thi. Aik hadees mein ata hai ky safon ky darmian khali jaga na ho kion ky wahan sy shaitan guzar jata hai, aur jahan sy shaitan guzarta hai wahan rehmat e ilahi nahi ati. Aur is hadees mein bayan kia gaya hai ky agar saf barabar nahi ho gi to log alag alag juda juda khary hon gy jab ky ba jamat namaz to musawat ka sab sy behtareen namona hai. Kion ky jamat ky waqt ameer ghareeb chota bara sab barabar khary hoty hen. Jab log saf barabar nahi karen gy to Allah un ky dilon mein ikhtalafat dal dy ga. Is liye humen chahye ky hum nimaz mein safon ko barabar kar lia karen aur bahmi ikhtalafat sy bach jayen.

Saffon Ky Ahkam | Nimaz Quotes


Rasool Allah S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Apni safon ko bilkul barabar kar lia karo, warna
 Allah Taala tumhary darmiyan bahmi tor par
 ikhtilaf dal dy ga.


No comments