Takabbur, Khayanat Aur Qarz In Islam | Islamic Quotes
Description:
Hadees mein bayan hua ky wo shakhs jo takabbur na karta ho, khayanat na karta ho aur us ky zimmy qarz na ho to jaisy hi wo shakhs marta hy to wo jannat mein dakhil kar dia jata hy. Kion ky takabbur sy insan mein ana ajati hy aur wo khud ko sab sy behtar samjhta hy aur baqi insanon ko apny paon ki dhol samajhta hy. Takabbur bohat sy gunahon ka palanda hy is liye is sy mana kia gaya. Khayanat aik aisa gunah hy jo muashry ko khatam kar sakta hy. Aur aj kal jo humary hukmaran curruption ky zarye sy bait ul maal ko kharch kar rahy hen wo bhi khayanat mein shumar hota hy. Aur logon sy qarz lena bhi muashry mein bigar paida karta hy. Aik bar Nabi s.a.w.w. ky samny maqrooz ka janaza paish kia gaya ky nimaz e janaza ada kar den. Nabi s.a.w.w. ny pocha is ky zimmy qarz to nahi farmaya han hy, to Aap s.a.w.w. ny nimaz e janaza parhny sy inkar kar dia. Jab aik sahabi ny us ka qarz ada karny ki bat ki tab Nabi s.a.w.w. ny us shakhs ka janaza parhaya.
Takabbur, Khayanat Aur Qarz In Islam |
Islamic Quotes
Muhammad S.A.W.W. Quotes:
Soban r.a. sy riwayat hy ky Rasool Allah s.a.w.w.
ny irshad farmaya: "Jis shakhs ko is halat mein
mout aye ky wo takabbur, khayanat aur qarz sy
pak ho to wo jannat mein dakhil ho gaya.
No comments