Breaking News

Zaat e Nabvi Ki Khasoosiaat | Islamic Quotes In Urdu

Description:
Nabi s.a.w.w. ki shan mein jo bhi kahen kam ho ga, magar ahadees sy jo pata chalta hy wo bayan karna zaruri hy. Bara bin aazib r.a. kehty hen ky Nabi s.a.w.w darmiany qad ky thy, kandhon ky darmian kafi kushadg thi, aur main ny kabhi bhi kisi ko aap saw sy zayada haseen o jameel nahi paya. Samaak bin harab ra kehty hen Nabi saw ka chehra mubarak bara tha, aap ki dono ankhon ki sufaidi surkhi mein mili hui thi aur aap ki mubarak ankhen bari aur lambi thi aur ap ki airiyan bhari na thi. Ali ra farmaty hen Nabi saw tamam logon sy zayada sakhi aur sab sy zayada sach bolny waly thy. Aap sab logon sy zayada narm tabiat waly aur sab sy zayada muaziz thy. Main ny aap saw jaisa koi shakhs na to aap sy pehly daikha aur na hi aap s.a.w.w. ky bad dekha. Ye hy mery pyary Nabi s.a.w.w. ki zaat aur shan e karimi ki misal jis ki dunia mein koi misal hi nahi.

Zaat e Nabvi Ki Khasoosiaat | Islamic Quotes In Urdu


Best Quote:
Anas r.a. farmaty hen ky "Rasool Allah s.a.w.w. sab 
logon mein sab sy zayada khubsurat, sab sy zayada
 sakhi aur sab sy zayada bahadur thy".


No comments