Breaking News

Dajjal Quotes | Sir Zameen E Sham Aur Dajjal

Description:
Dajjal ka ana qayamat ki nishanion mein sy aik nishani hy, Nabi s.a.w.w. ny aisa farmaya hy. Dajjal ko Allah Taala itni taqat o quwat aur aisy ilm sy nawazen gy ky wo murdy ko zinda kar dy ga aur insano ko aisi kaifiat mein kar dy ga ky wo us ki bait aram sy apni marzi sy karen gy magar wo log jo sachy aur pakky momin hon gy wo is ki shaitaniat ka shikar nahi hon gy. Kion ky ye khud ko akhri nabi kehalwaye ga aur musalman janty hen ky humary piyary Nabi s.a.w.w. hi akhri nabi hen to wo bach jayen gy baki sab us ki baiyat kar len gy. Nabi s.a.w.w. ki hadees ky mutabiq wo kana ho ga aur aik qism ka jadu us ky pas ho ga. Aur is hadees mein farmaya ky wo mashriq sy aye ga madina par charhai karny ko magar aisa kar nahi paye ga aur ohad pahar tak jab pohanch jaye ga to Allah Pak usy frishton ky zarye mulk sham ki taraf bhaga den gy aur wo jang o qital karta hua wahin maar dia jaye ga.

Dajjal Quotes | Sir Zameen E Sham Aur Dajjal


Rasool Allah S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Maseeh dajjal mashriq sy aye ga aur madina ki janib
 paish qadmi kary ga, yahan tak ky wo ohad pahar 
ky peechy tak pohanch jaye ga, phir farishty usy 
"sar zameen e sham" ki taraf bhaga den gy aur phir
 wo sham mein hi halak ho ga.


No comments