Breaking News

BV Bachon Aur Maal Ky Shar Sy Hifazat | Dua Quotes

Description:
Allah ky Rasool s.a.w.w. har moqy ki dua hum musalmano ko bata kar gaye hen. Aj is post mein aik bohat piyari dua naqal ki gai hy jis mein insan sy jury sab rishty naty ky bary mein dua hy. Pehli bat is dua mein hy ky bura parosi agar ho ga to insan ko bohat tangi ho gi is liye us s panah mangi phir insan ka jevan sathi us ki bv agar achi na ho to insan ko hamesha taklef aur mushkilat sy guzarna parta hy is liye aisi ghalat bv sy panah mangi aur phir insan jis ky liye halal aur haram tak bhol jata hy yani us ki aulad us ky shar sy panah mangi ky wo bary ho kar maa bap par hukm chalayen aisi aulad sy panah chahi phir wo maal jo us ny kamaya us ky hisab kitab ky waqt jo azab ho ga us sy bachny ky liye aisy bury maal sy panah mangi aur sab sy akhri bat aur sab sy solid bat ky aik dost insan ky liye sab kuch hota hy jis sy wo sab kah sun leta hy agar wo ghalat hua to samjho wo insan doob gaya is liye bury aur chalbaz dost sy panah mangi Nabi s.a.w.w. ny apny Rab Pak sy.

BV Bachon Aur Maal Ky Shar Sy Hifazat |
 Dua Quotes


Hadees e Rasool S.A.W.W. Hy:
Abu Huraira r.a. farmaty hen ky Nabi Akram s.a.w.w.
 ki duaon mein aik dua ye bhi thi.
> Aey Allah! Main aap ki panah talab karta hon
 bury parosi sy
> Aur aisi bv sy jo mujhy burhapy sy pehly hi
 burha kar dy
> Aur aisi aulad sy jo mujh par aaqa ban baithy 
(yani mujh par hukm chalaye)
> Aur aisy maal sy jo mery liye azab ka sabab ho
> Aur aisy chalbaz dost sy jis ki ankh mujhy dekhti ho
 aur dil meri nigrani karta ho, agar wo mujh mein 
koi achai dekhy to usy chupa ly aur agar koi burai
 dekhy to us ki tash'heer karta phiry.


No comments