Breaking News

Quotes Obout Shariat l Ahkam-e-Shariat Ka Jazba

Description:
Ye post aaj ke jadid aur tarakki yafta logon keliye ke liye bayan ki ja rahi hai jo khud ko wasi-ul aqal aur tarakki yafta kahte aur jo shariat aur islam par chale usko naqis-ul-aqal aur pasmanda kaha jata hai. Is post mein bayan kiya hai ke do sahabi sharab pi rahe the ke, itne mein sharab ke bare mein aayat nazil hoi ke sharab ko haram kar diya gaya hai to dono sahabion ne foran usko tarq karte howe sharab ke matke ko phod diya. Aur aaj bhi is amar ki zarorat hai aaj ka insan har us gunah aur barai ko tarq kar de jis ka quran ya ahadis mein bayan aaya hai, kahein aisa ho na ke dair ho jaye aur azaab-e-ilaahi nazil ho jaye phir us waqt na to koi faryaad ras hoga na koi duhaai sun-ne wala hoga.


Quote:
Hazrat Ans bin malik R.a farmate hain ke main Abu Ubaida bin Aljrah R.a,
Abu Talha R.a aur Abi bin Ka-ab R.a ko kachi pakki khajor ki sharab
pila raha tha, itne mein aik pukarne wala aaya aur aawaz di ke
"sharab haram kar di gayi hai". Hazrat Abu Talha kahne lage:
Ae Ans! uth aur ye sharab ka matka tod de. "Main utha aur pathar ka
hathoda uthaya aur matke ke paide par de maara,
hatta ke wo pash pash ho gaya."

No comments