Breaking News

Islamic Quotes in Urdu Khel Kood Ky Sharai Ahkam

Description:
I want to share the sports limits in Islam. Check out the new Islamic quotes from this blog. I hope you like this and share this with family and friends. Best Islami quotes, 2 line Islamic quotes for fb post, Long Islami quotes for pintrest, Short Islami quotes for tumbler.

Islamic Quotes in Urdu-Khel Kood Ky Sharai Ahkam


Khail Kood ke Sharayi Ahkam:
Islam jismani warzish par mushtaml khelon ki na sirf ijazat deta hy balkah makhsoos sharait ky saath hosla afzai bhi karta hy. Rasool Akram S A W W ny ghur sawari, dor ka muqabla, tairaki, aur nishana bazi ki targheeb di hy. Albatta Quran o sunnat mein najaiz aur by aetadali par mushtamil khelon ko laho wo la'ab kaha gaya hy aur in sy ummat e muslima ko sakhti sy roka gaya hy. Khel kood ki darj zail soorton ko Islam najaiz qarar deta hy:
1: Aisy tamam khel jin mein juwa(gambling) ya satta lagaya jaye ya rupy pesy ki shart ho.
2: Aisy tamam khel ya warzishen jin sy aqida, eimani kaifiat, aur Islami tarbiat bigarny ka qawi andesha ho.
3: Aisy tamam khel jin mein khiladion ka libas gher Islami ho ya naaf sy ly kar ghutnon tak hissy ko na dhanpa jaye. Isi tarah khel ky maidan ka mahol munkirat sy bhara hua ho, by pardgi, fahashi, uryani, mosiqi, munshiat o nasha awar ashia ka istamal aur deegar muasharti kharabian mojod hon.
4: Aisy tamam khel jin mein shayiqeen ki dilchaspi junoon ki had tak barh jaye. Aur in khelon ki waja sy farz nimaz ky auqat, mulazmat, taleem, aur maamoolat par manfi aur ghalat asraat muratib hon.
5: Choty bachon ky aisy video game jin mein cartoon ko neem uryan libas mein dikhaya gaya ho, naach gany ki targheeb ho ya by hayaie par mushtamil taur tariqy aur guftugu shamil ho.
6: Aisy tamam khel jin mein jani nuqsan ya zehni o jismani maazori ka khadsha ho, jesy motor cycle ya gari ki oonchi chalangen, jangli darindon ky sath khel, chaqu, churi, aur aslaha sy insani jism ko takhta e mashq banana waghera. Shariat e Islami is ki ijazat har giz nahi deti ky mehaz khel o kartab ky khatir insani jan ko halakat mein dala jaye. Ye jan insan ki apni nahi balkay ALLAH ki taraf sy amanat hy, jisy ALLAH ky raasty mein ya jaan o maal ky tahafuz ky ilawa kahin aur khatry mein dalny ki ijazat nahi.


No comments