Islamic Quotes- Khany Ky Adaab
Description:
Hi friends, is post mein ap log ye jan payen gy ky hamary piyary Nabi S A W W ny khany ki kia sunnaten batai hen. Aur ye bhi ky agar khana khaty waqt luqma gir jaye to usy saf kar ky kha lena chahye kion ky jo luqma hum chor dety hein wo shaitan ka luqma ban jata hy. Aur khana khany ky bad unglion ko chatna bhi sunnat hy. So dosto hamen apny piyary Nabi S A W W ki sunnat par amal karty huye shaitan ka sath nahi dena chahye.
Islamic Quotes- Khany Ky Adaab
Khany Ka Luqma Hath Sy Gir Jaye to!
Rasool S A W W ny irshad farmaya:
"Bila shuba shaitan tum mein sy har aik ky sath us ky har
kam ky waqt hazir rehta hy, yahan tak ky is ky khany ky
waqt bhi is ky pas mojod rehta hy, lihaza khana khaty
waqt jab tum mein sy kisi ka luqma gir jaye to usy chahye
ky wo luqma utha ly aur is mein jo gandgi(mitti waghera)
lagi ho usy saaf kar ky kha ly aur usy shaitan ky liye naa
chory, phir jab khany sy farigh ho jaye to apni unglian chat
ly, is lye ky wo nahi janta ky us ky khany ky kis hissy
mein barkat hy."
No comments