Islamic Quotes- Salam Ka Masnoon Tariqa
Description:
Hi Dosto, is post mein ap ko salam karny ka sahi aur masnoon tariqa bataya jaye ga. Kion ky aksar ham log salam ky liye ghalat alfaz bolty hen jin ky matlab bhi ghalat hen. Aj kal rivaj ban gaya hy ky pury salam ky bajaye ham assakum ya salamalaikam kehty hen. In ky matlab hen, Assaku ka matlab tum ko mout aye aur salamalaikam ka matlab tum par lanat ho. Ab dekhye ham salamti ki bajaye apny azizon par kia bhejty hen. Main umeed karta hon ky is post sy ap ko bohat faida hoga aur ap pura salam sunnat ky mutabiq karen gy. Jazak ALLAH
Islamic Quotes- Salam Ka Masnoon Tariqa
Umda Salam Karny Par Tees Naikian!
Imran Bin Hasain farmaty hein ky Rasool ul ALLAH
S A W W ki khidmat mein aik shakhs hazir hua aur
assalam o alaikum kaha, Aap S A W W ny irshad farmaya:
"(In ky liye) 10 naikian".
Kuch dair bad aik dusry aadmi hazir e khidmat huye aur
assalam o alaikum warahmatullah kaha, Aap S A W W
ny irshad farmaya: "In ky liye) 20 naikian".
Kuch dair bad aik teesry shakhs hazir e khidmat huye aur
assalam o alaikum warahmatullahi wabarakah kaha, Aap
S A W W ny irshad farmaya: "In ky liye) 30 naikian".
No comments