Islamic Quotes In Urdu | Motapy Ka Bayan
Description:
Aj ky dor mein jitny zayada log motapy ki waja sy pareshan hen ap sab log janty hen. Kahin wo subh ko jogging karty hen to kahin wo gym mein jaty hen ta ky apna motapa kam kar saken. Lekin bawajod itni kasrat karny ky wo chutkara nahi paty. Kahin ye wo zamana to nahi aa gaya jis ka is hadees mein zikar hy? Kahin ye wo qoum to nahi jis ky bary mein Nabi Akram s.a.w.w. ny humein tanbih farmai thi ky wo khayanat karny waly hon gy? Kahin ye wahi log to nahi jin ky bary mein irshad e Nabvi warid hua ky un mein motapa aam kar dia jaye ga?
Zara sochye...
Islamic Quotes In Urdu | Motapy Ka Bayan
Rasool Allah S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Meri ummat ka sab sy behtareen zamana mera zamana hy,
phir un logon ka jo us zamana ky bad ayen gy, phir un
logon ka jo us zamana ky bad ayen gy. (Imran bin
Hasain farmaty hen ky mujhy achi tarha yad nahi ky
Nabi Kareem S.A.W.W. ny apny dor ky bad do
zamano ka zikar farmaya tha ya teen ka).
Phir Aap s.a.w.w. ny irshad farmaya:
Tumhary bad aik aisi qoum paida ho gi jo baghair
kahy gawahi deny ky liye tayar ho jaya kary gi,
aur khayanat ki kasrat ki waja sy un par bharosa nahi
kia ja saky ga, aur wo log nazren manen gy lekin pura
nahi karen gy, aur (zayada khany ki waja sy) un par
"Motapa" aam ho jaye ga.
No comments