Shaban Ky Rozy | Islamic Quotes In Urdu
Description:
Rasool Allah s.a.w.w. ny ayyam e baiz (yani har qamri maah ki 13,14 aur 15 tareekhon) ky rozon ko zindgi bhar rozy rakhny ky barabar qarar dia hy. Ayyam e baiz ky rozy har qamri maah mein masnoon hen lekin choonky khasoosiat ky sath maah e shoban mein rozy rakhny ky fazail bhi ahaadees mubarika mein warid huye hen, is liye maah e shaban mein ayyam e baiz ky rozon ka aur zayada aehtaram karny ki zaroorat hy...
Neez maah e shaban mein ayyam e baiz ky rozy rakhny sy aik mukhtalif feeh masly ka hal bhi nikal ata hy. Aur wo ye ky baz hazraat khas 15 shaban ky rozy ko masnoon samajhty hen, jab ky muhaqiq raye yahi hy ky khas 15 shaban ka roza masnoon nahi, lekin agar kisi ko 15 shaban ky rozy rakhny ka shoq aur walwala hy to wo ayyam e baiz ky rozy rakh ly, 15 shaban ka roza bhi is mein shamil ho jaye ga.
Shaban Ky Rozy | Islamic Quotes In Urdu
Mufti Taqi Usmani Sahib Farmaty Hen:
Agar koi shakhs in do waja sy 15 shoban ka roza rakhy,
aik is waja sy ky ye shoban ka din hy [Aur maah e shoban
ky rozy masnoon hen], dosry is waja sy ky ye 15 tareekh
ayyam e baiz mein dakhil hy. Agar is niat sy roza rakh
ly to In sha Allah moajib e ajar ho ga, lekin khas
pandra tareekh ki khasoosiat ky lihaz sy is rozy ko
sunnat qarar dena baz ulama ky nazdeek darust nahi.
No comments