Breaking News

Bheek Mangna In Islam | Quotes Of Muhammad S.A.W.W.

Description:
Mangny ka haq sirf Allah Taala sy hy aur kisi sy kisi ko mangny ka koi haq nahi. Yahi Rab ki shan ky laiq hy ky sirf us sy manga jaye aur us ky siwa kisi sy na manga jaye. Is post mein yahi bataya gaya hy ky jo shakhs kisi sy bhi kuch bhi nahi mangy ga bal ky sirf Allah sy mangy ga, us ka daman sirf aur sirf Allah ky agy phely ga na ky kisi insan peer, mullan ya kisi aur ky mizar ya qabar par nahi phely ga to aisa shakhs jannat mein zaroor jaye ga. Aur wo shakhs jo har kisi ky samny hath phelaye ga aur duaon ky liye Allah ky siwa kisi aur ki chokhat par apna daman phailaye ga to aisy shakhs ky liye jahanum hy. Riwayat mein ata hy ky agar tumhary ghar ka namak khatam ho jaye ya tumhary jooty ka tasma toot jaye tab bhi tum sirf aur sirf Allah sy mango. Lihaza humen chahye ky hum kisi ky agy hath na phailaen kion ky deny wala hath hamesha oper hota hy aur leny wala hath humesha nechy hota hy.

Bheek Mangna In Islam | Quotes Of
 Muhammad S.A.W.W.


Quote Of The Day:
Rasool Allah s.a.w.w. ky azad karda ghulam Soban r.a.
 sy riwayat ky ky Rasool Allah s.a.w.w. ny irshad
 farmaya: "Jo shakhs mujhy is bat ki zamanat dy ky
 wo logon sy koi cheiz nahi mangy ga to main usy
 jannat ki zamanat deta hon".
Soban r.a. ny arz kia: Main(zamanat daita hon),
 chunanchy Soban r.a. kabhi kisi sy koi
 cheiz nahi manga karty thy.


No comments