Breaking News

Mah e Shaban Aur Ramzan Ky Fazayil | Islamic Quotes

Description:
Ramazan ka mahina tamam mahino ka sardar hy. Ramzan ky rozy rakhna farz hy lekin Shoban ky mahiny mien nafli rozy rakhny ki bohat fazeelat ayi hy. Jahan in rozon ki itni fazeelat ayi hy wahan par Nabi s.a.w.w. ny shoban ky akhir mein rozy rakhny sy mana bhi farmaya hy. Aik maslihat ye bhi ho sakti hy ky baaz dafa rozy rakhny sy kamzori ho jati hy to agar shoban mein nafli rozy rakh kar kamzori ho gai to ramazan ky farz rozy choot jayen gy. Jo ky sawab ki bajaye gunah ka sabab banen gy. Ya phir jesy akhiri tareekhon mein ye pata lagana mushkil ho jata hy ky ye shoban ki akhiri tareekh hy ky ya phir ramazan ki pehli tareekh. Is liye akhir mein rozy rakhny sy mana farmaya ky jab ramazan ka chand mustanad zaraye sy tasdeeq ky bad dikh jaye to ramazan ky farz rozy rakho. Kion ky ye khair o barkat, rehmat, maghfirat aur jahanum sy chutkary ka mahina hy.

Mah e Shaban Aur Ramzan Ky Fazayil | Islamic Quotes


Hadees e Rasool S.A.W.W.
Ayesha r.a. farmati hen ky "Rasool Allah s.a.w.w.
 shoban (ki tareekhen) ko yad rakhny ka jis qadar
 aehtamam farmaty utna kisi dusry mahiny 
(ki tareekhon) ka aehtamam nahi farmaty (Kion ky
 shoban ky ikhtitam par ramazan ky aaghaz ka
 madaar hy), phir jab ramazan ka chand nazar ata
 to rozy rakhty, aur agar matla abar alood hony
 ki waja sy (29 shoban ko) chand nazar na ata to
 (shoban ky) 30 din pury farmaty aur
 phir rozy rakhty".


No comments