Breaking News

Fitno Sy Bachao Ka Zariya | Nimaz Quotes

Description:
Allah Taala ny Quran Pak mein farmaya ky ye maal o daulat, bety, ye nasli ghory ye sab kuch insan ky faidy ky liye hain. Lekin yahi sab insan ki azmayesh ka bhi saman hai. Aur is hadees mein bhi yahi farmaya gaya ky insan ky aehl o ayal, maal o daulat, aur parosi sab kuch us ky liye fitna hen. Aehl o ayal mein aisy ky agar us ki biwi ya bacha bemar ho jaye to baaz dafa wo Allah sy gily shikwy karny lag jata hai aur baaz dafa to kufr tak chala jata hai. Isi tarha maal mein nuqsan ho jaye tab bhi insan gily shikwy karta hai. Ya maal zayada dy dia jaye to wo us par fakhar karta hai aur akar beth'ta hai ky ye to sab meri mehnat ka hai. Aur parosi bhi fitna hai ky agar wo koi ghalt admi ho ga to ap ki izat khatry mein ho gi ya ap ka maal o mata dao par laga ho ga. Isi liye kehty hein ky acha parosi bhi Allah ki naimat hoti hai. In sab fitnon sy bachao ka tariqa bhi Allah ky Nabi s.a.w.w. ny bataya hai, aur wo ye ky insan nimaz, roza aur sadqa karta rahy to in sab fitnon sy bacha rahy ga.

Fitno Sy Bachao Ka Zariya | Nimaz Quotes


Hadees e Rasool S.A.W.W.
Huzaifa Bin Yamaan r.a. farmaty hein ky Nabi
 Kareem s.a.w.w. ny farmaya:
Insan ky liye is ky aehl o ayal mein, is ky maal mein
 aur us ky paros mein fitna o azmayesh hai (yani ye
 cheizen is ky liye kisi na kisi shakal mein fitna o 
azmayesh sabit hoti hein) aur in fitnon sy bachao ka
 zariya nimaz, roza aur sadqa hain.


No comments