Breaking News

Ghussay Ka Ilaj | Muhammad SAW Quotes & Sayings

Description:
Ghussa insan ki aqal ko kha jata hai, is liye ghussy ky waqt koi bhi faisla na karen. Kion ky jab insan ghussy mein hota hai us ka khud par qabu nahi hota aur shaitan us par hawi ho raha hota hai. Aur shaitan ky hawi hony ky waqt jo bhi faisla kiya jaye ga wo ghalat hi ho ga chahy wo waqti sab sy acha hi kion na lag raha ho. Is quote mein yahi farmaya gaya ky jab ghussa aye to khary ho to baith jao agar tab bhi ghussa na jaye to lait jao, yani apni halat badal lo. Kaha jata hai ky jab insan ko ghussa aye to usy chahye ky apni jaga badal ly, yani kisi aik kamry mein hai to dusry kamry mein chala jaye yani jis jaga wo khara hai usy wo jaga chor daini chahiye warna wahin khary rehny sy jhagra paida ho sakta hai aur agar pehly sy jhagra shuro hai to jhagra taiz ho jaye ga.

Ghussay Ka Ilaj | Muhammad SAW Quotes & Sayings


Ghussa Quotes:
Nabi Akram s.a.w.w. ny irshad farmaya: "Jab tum
 mein sy kisi ko ghussa aye to agar wo khara ho to
 baith jaye, agar ghussa khatam ho jaye to thek
 warna phir lait jaye".


No comments