Breaking News

Islah o Naseehat Ka Nabvi Andaaz | Quotes Of Muhammad S.A.W.W.

Description:
Is post mein kisi ki islah karny ka aik Nabvi andaz bataya gaya hy ky kesy Nabi s.a.w.w. sahaba ki tarbiat aur islah o naseehat kia karty thy. Nabi s.a.w.w. kisi ko ghalat kam karty dekhty thy to bary pyar sy adab sy usy samjhaty thy aur un ki zuban ki sherini sy wo log samajh bhi jaty thy. Lekin aj ky mullan aur peer ya aam log bhi kisi ko ghalat kaam karty huye dekh len to wo is andaz sy us ki islah karty hen ky wo islah kam aur us bandy ko zaleel zayada karty hen. Is waja sy ya to wo insan un ki baat sunta hi nahi ya phir zid mein aa kar wo ghalat kaam barh charh kar karta hy. Humary Nabi s.a.w.w. ka kitna shayasta lehja tha wo sahabi kehty hen ky Nabi s.a.w.w. ny na to bura bhala kaha, na mara aur na gali di. Kitna khubsurat sunnat ka tariqa hy, humen bhi kisi ki islah karty waqt is tariqa ko apnana chahye.

Islah o Naseehat Ka Nabvi Andaaz | Quotes Of
 Muhammad S.A.W.W.


Muhammad S.A.W.W. Quotes:
Muawiah Bin Hakam r.a. farmaty hen ky main 
Rasool Allah s.a.w.w. ky sath nimaz parh raha tha,
 itny mein aik shakhs cheenka, main ny kaha: Yarhamuk
 Allah! to log mujhy ghor kar dekhny lagy. Main 
ny kaha: Kash! Mujh par meri maa ro chuki hoti (yani
 main mar chuka hota) tum kion mujhy ghoorty ho? 
Ye sun kar wo log apny hath ranon par marny lagy.
 Jab main ny dekha ky wo mujhy chup karana chahty
 hen to main bhi chup ho gaya. Jab Rasool Allah 
s.a.w.w. nimaz parh chuky to (mujhy bulaya), mery
 maa bap aap s.a.w.w. par qurban hon, main ny 
aap s.a.w.w. sy behtar sikhany wala na aap s.a.w.w.
 sy pehly dekha aur na bad mein. Khuda ki qasam!
 Na aap s.a.w.w. ny mujhy bura bhala kaha, na mara 
aur na gali di. Bal ky yun farmaya:
"Nimaz mein dunia ki baten karna darust nahi, bal 
ky is mein to tasbeeh, takbeer aur Quran majeed
 ki tilawat hoti hy".


No comments