Breaking News

Istikhara Kesy Karen | Muhammad S.A.W.W. Quotes & Sayings

Description:
Istikhara din rat mein kisi bhi waqt (nawafil ky liye makrooh auqat ky ilawa) kia ja sakta hy. Neez istikhara ky bad kisi khawab ya ghaibi ishary ka aana bhi zaroori nahi, sirf dil ka kisi aik janib mayel ho jana aur kisi kaam ky liye sharah sadar ho jana kafi hy. Aaj hum log istikhary ky sunnat tariqy ko chor kar ghair masnoon tariqon ky peechy lagy huye hen. Allah Subhan ho Wataala hum ko sunnaton par amal paira hony ki taufeeq marhamat farmaye. (Ameen)

Istikhara Kesy Karen | Muhammad S.A.W.W. 
Quotes & Sayings


Jabir Bin Abdullah R.A. Farmaty Hen:
Raool Allah s.a.w.w. humen apny tamam muamlat
 mein istikhara karny ki isi tarah taleem dety thy jis
 tarah Quran ki koi surat humen sikhlaty. Aap s.a.w.w.
 farmaty ky jab tum mein sy koi shakhs kisi (jaiz)
 kam ka irada kary to 2 rakat (nafal) parhy
 us ky bad yun dua kary:
"Aey mery Allah! main tujh sy tery ilm ki badolat
 khair talab karta hon aur teri qudrat ki badolat tujh
 sy taqat mangta hon aur tery fazal azeem ka talabgar
 hon ky qudrat tu hi rakhta hy aur mujhy koi qudrat nahi,
 ilm tujh hi ko hy aur main kuch nahi janta aur tu
 tamam poshida baton ko jan'ny wala hy. Aey mery
 Allah! agar tu ye janta hy ky ye kaam (jis ky liye 
istikhara kia ja raha hy) mery liye behtar hy, mery 
deen ky aetabar sy, meri muash aur mery anjam kar
 ky aetabar sy ya mery liye waqti tor par aur anjam ky
 aetabar sy ye behtar hy to isy mery liye nasib kar dy
 aur is ka hasol mery liye aasaan farma dy aur phir
 is mein barkat ata farma.
Aur agar tu janta hy ky ye kam mery liye bura hy
 mery deen ky liye, meri zindgi ky liye aur mery 
anjam kar ky liye. Ya mery muamly mein waqti tor
 par aur anjam ky aetabar sy (bura hy) to isy mujh sy
 hata dy aur mujhy bhi is sy hata dy. Phir mery liye
 khair muqaddar farma dy, jahan kahin bhi wo ho aur
 phir mujhy is sy mutmain kar dy.
Phir Aap s.a.w.w. ny irshad farmaya ky (hazal amr ya
 dua ky waqt) us kam ka naam ly (jis ky bary mein
 istikhara karna chahta hy).


No comments