Breaking News

Khilafat e Usmania | Daily Islamic Quotes

Description:
Khilafat e usmania ky zawal ki waja kuch na aehal qism ky khalifa bany. Jinhon ny apni mann marzi ki aur islam ky pury usoolon ko na mana. Lekin jab bhi kisi kafir mushrik ny saltanat ki taraf gandi nazar sy daikha us ky ankhen pathra gai. Aur aisi hi misaal aj is post mein bayan ki gai hy, ky khilafat kitni hi kamzor kion na ho gai ho lekin musalman ky irady kabhi kamzor nahi hoty aur wo apni pak sar zameen ky liye kuch bhi kar sakty hen. Jaisa ky khalifa ky is qoul mein hy ky agar sari dolat bhi luta do tab bhi yahan ki mitti tak tum ko naseeb na ho gi. Ye hy jazba e imaani ki misaal, waqt kaisa bhi ho lekin musalman ka jazba kabhi bhi kamzor nahi parta.

Khilafat e Usmania | Daily Islamic Quotes


Daily Quotes:
19 ween sadi ky awakhir mein khilafat e usmania
 by had kamzor ho chuki thi, maali halat bhi nihayat
 khasta thi, hukomat bhi qarzon mein jakri hui thi.
 Khalifa abdul hameed sani sy aik turki yahoodi qarah
 swah aafandi ki wasatat sy yahoodion ky aik aala satahi
 wafad ny mulaqat ki. Is wafad ny Khalifa sy kaha:
"Agar aap falasteen mein yahoodi watan qayam karny
 ki manzoori dy den to hum khilafat e usmani ka sara
 qarza utar den gy aur mazeed kai ton sona bhi den gy".
Khilafat ky kamzor hony ky bawajod bhi khalifa 
abdul hameed ny wo jawab dia jisy taareekh kabhi 
faramosh nahi kar sakti. Khalifa ny apny paon ki 
ungli sy zameen ki taraf ishara karty huye kaha:
"Agar apni sari daulat dy kar tum log arz e bait ul maqdas
 ki zara si mitti bhi mango gy to hum nahi dain gy".


No comments