Breaking News

Izdawaji Zindgi Ky Akhrajat | Islamic Quotes

Description:
Humara malik Allah hy jis ny humen paida kia. Har kaam us ki raza sy hota hy. Us ky hukm ky bina na to hum saans ly sakty hen, na chal sakty hen, na kha sakty hen, na pee sakty hen, na so sakty hen. Yani jo bhi kaam hy wo allah ky hukm sy ho ga. Kuch kaam aisy hen jin ka sabab Allah pak insan ko ya kisi aur makhloq ko bhi banata hy magar kuch kaam aisy hen jin ki zimmy dari Allah pak khud lety hen. Jaisa ky ye 3 kam jo is post mein hen un kaamon ki zimmy dari Allah pak ny li hy. Aisa ghulaam jo azaadi hasil karna chahta hy aur din raat mehnat kar ky apny malik ko paisa deta hy to Allah pak us bandy ki zarur madad karty hen. Isi tarah aisa nojawan jo nikah sirf is liye karta hy ky wo burai sy bach kar sharai tor par pakdaman rahy aur apni bv sy apni zarurat puri kary na ky kisi aur sy ghalat kari kary to aisy shakhs ki bhi madad ka zimma Allah ny ly lia. Sab sy aeham zimma jo hy wo ye hy ky jo Allah ki raah mein jihaad karny ki gharaz sy nikla ho Allah pak us ki madad zarur karty hen, chahy wo ghazi ban kar loty ya shaheed ho jaye. Dono hi jaga aur rutby us ky liye pasandeeda hoty hen.

Izdawaji Zindgi Ky Akhrajat | Islamic Quotes


Nabi Kareem S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
3 tarah ky logon ki madad karna Allah ny 
apny zimmy lia hua hy:
1> Wo ghulam jo azaadi ky husool ky liye malik ko
 adayegi karna chahta ho.
2> Wo nojawan jo iffat o pakdamini ki gharz
 sy nikah kar raha ho.
3> Allah ky rasty ka mujahid.


No comments