Breaking News

Shab e Meraj Quotes | Muhammad S.A.W.W. Quotes & Sayings

Description:
Dunia mein Allah ny insan ko ikhtiar dia hy ky chahy to wo Allah ki bandagi kary chahy to us ki na farmani mein sari zindgi guzar dy. Dunia mein sirf amal hy lekin akhirat mein us amal ki jaza o saza ka maamla hona hy. Lekin aasmaanon par jahan farishty aur aisi makhlooqat hen jo sirf Allah ki itaat ky liye paida kiye gaye hen. Wo Allah ki kisi bhi baat sy inhiraf nahi karty bal ky un ky dilon mein khof e khuda hi itna hota hy ky wo har hukm baja laty hen. Lekin insan ko aj apny khuda ka khof hi nahi hy wo apni mann marzi sy jo chahta hy karta hy, shaitan ki pairvi mein din guzar deta hy aur raat ko Allah ki yad sy ghafil so jaty hen. Allah pak hum sab ko apni sahi qadar karny ki taufeeq dy aur apna khof humary dilon mein daal dy.

Shab e Meraj Quotes | Muhammad S.A.W.W.
 Quotes & Sayings


Nabi Akram S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Jis raat mujhy mairaaj karwai gai to mera guzar 
aalam e baala mein hua to wahan main ny dekha
 ky Allah Subhan ho Wataala ky khof sy jibrail a.s.
 ki kaifiat aisi thi goya ky koi boseeda taat ho.


No comments