Breaking News

Khilafat e Usmania | Islam Ki Mazboot Kari Toot Gai

Description:
Khilafat e usmania waqt ky lihaz sy sab sy zayada dair pa chalny wali hakoomat rahi hai. Ye kam o baish 6 sadyon par muheet hakoomat thi, jo ky 28 rajab 1342 hijri ba mutabiq 3 march 1924 ko khatam kar di gai. Nabi s.a.w.w. ki aik hadees mein hai ky islam ky arooj ky bad aik waqt aisa aye ga ky islam bohat ghareeb mazhab ho jaye ga aur log isy apnany sy guraiz karen gy. Aur jo is ky naam leva hon gy wo bhi is par amal karny mein bohat mushkil mehsoos karen gy. Aur is quote ky mutabiq bhi ye waqt aa gaya hai ky har mulk mein nizam e hakoomat maghrib walon ka apnaya ja raha hai aur islami shiken sab khatam ki ja rahi hain. Humary mulk Pakistan mein bhi islami qanoon khatam kar ky angraizon ka qanoon laya ja raha hai. Islam mein khilafat ka qanoon chalta hai jo ky akhri bar khilafat e usmania ky sath khatam kar dia gaya. Allah Pak hum sab ko islam ky mutabiq zindgi basar karny ki taufeeq ata farmaye.

Khilafat e Usmania | Islam Ki Mazboot Kari Toot Gai


Rasool Allah S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Islam ki sab kariyan aik aik kar ky totain gi, Jab bhi
 islam ki koi kari toty gi to log is ky bad wali kari
 sy chimatny lagen gy. Sab sy pehly jo kari toty gi
 wo islam ka nizam e hakoomat o adalat ho ga aur
 sab sy akhir mein totny wali kari nimaz ho gi.


No comments