Breaking News

Imaan o Islam | Quotes Of Muhammad S.A.W.W.

Description:
Imaan o islam dil ki duniya hi badal dalta hai. Islam ky mukhalif jitny bhi strong ho jayen lekin islam mein aisi taseer hai ky is ka asar dushmano par zaroor parta hai. Aisy aisy log Nabi s.a.w.w. ki jan ky dushman thy wo jab iman ly aye to un ky nazdeek Nabi s.a.w.w. sy barh kar kuch nahi raha. Apni jan, maal sab kuch islam ki khatir aur Muhammad s.a.w.w. par qurban kar dety hein. Aik aisi hi misal is hadees mein bayan ki gai ky jo aurat islam sy had sy zayada bughaz rakhti thi aur jis ny musalmano sy nafrat ki intiha kar di ky Nabi s.a.w.w. ky chacha ko shaheed kara diya aur us par bhi bas nahi kiya bal ky un ka kaleja tak nikal ky khud chabaya. Itni nafrat thi us waqt islam ky liye, lekin jab islam ki khushbu ny dil ko muatar kiya to Nabi s.a.w.w. aur islam sy barh kar us ky liye kuch nahi. Aap s.a.w.w. ki aur aap s.a.w.w. ky gharany ki izzat sab sy barh ki thi aur yahi imaan ka saroor aur lutf hota hai ky apni jan maal sab sy barh kar Nabi s.a.w.w. ki mohabbat dil mein honi chahiye.

Imaan o Islam | Quotes Of Muhammad S.A.W.W.


Quote Of The Day:
Rasool Allah s.a.w.w. ky chacha Hamza r.a. ka kaleja
 chabany wali aur islam sy bughaz rakhny wali Hinda 
binte Atba r.a. (islam qabool karny ky bad) Rasool 
Allah s.a.w.w. ki khidmat mein ayen aur kehny lageen:
"Ya Rasool Allah s.a.w.w! Khuda ki qasam (islam lany 
sy qabal meri ye halat thi ky) roye zameen par kisi 
gharany ki zillat Aap s.a.w.w. ky gharany ki zillat sy 
zayada mery liye khushi ka bayis na thi, lekin aj roye
 zameen par kisi gharany ki izzat Aap s.a.w.w. ky gharany
 ki izzat sy zayada mehboob nahi.


2 comments: