Breaking News

Mil Jul Kar Rehna | Islamic Quotes In Urdu

Description:
Islam ki bohat si shakhen hein, aur logon ky sath mil jul kar rehna bhi islam ki aik shakh hai. Islam aik aman o salamti ka mazhab hai aur akhuwat o mohabbat ka dars deta hai. Islam ki bohat si taleemat mil jul kar hi rehny ko targheeb deti hain, jaisa ky nimaz bajamat ada karny ka hukm hai kion ky us ka sawab bhi zayada hai. Eid ky moqy par sab ko milny ka, ikathy hony ka, aik dusry ky sath khushiyan bantny ka hukm hai. Is tarha mil jul kar rehny sy insan ko dusron ky halat o waqiat ka pata chalta hai, insan ko dusron ky dukh sukh ka pata chalta hai. Agar aik momin par bura waqt hai to dusry momin us ka dukh banten gy us ko tasali den gy us ka hosla aur himmat barhayen gy. Lekin agar hum kisi sy milen gy hi nahi to hum kesy kisi ki diljoi kar saken gy ya koi aur humara hosla barhaye ga. Nabi s.a.w.w. ki jo bhi taleemat mein wo sab hikmat sy bhari hui hen isi liye humen chahye ky Allah ky Nabi ki har taleemat ko man o an tasleem kar ky us par amal paira hon.

Mil Jul Kar Rehna | Islamic Quotes In Urdu


Nabi Kareem S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Wo momin jo logon mein ghul mil kar rehta hai aur 
(is ky nateejy mein) un ki janib sy pohanchny wali
 aziyaton par sabar bhi karta hai, us momin sy 
ba-darja-ha behtar hai jo na logon ky sath mil jul 
kar rehta hai aur na hi un ki janib sy milny wali 
aziyaton par sabar karta hai.


1 comment: