Breaking News

Nazr e Bad Ki Taseer | Quotes In Islam

Description:
Allah Taala nay jo do surah ikathi nazil farmai us mein shaitan ka waswasa aur hasad karny waly ky shar sy panah mangny ka zariya bataya hai. Kion ky hasad aur nazar e bad aik hi cheiz hoty hein isi liye jab koi ap ko hasad sy dekhy to wo nazar e bad hoti hai aur us ky shar say panah ki dua surah falaq mein batai gai hai. Baaz log kehty hein ky nazar e bad kuch nahi hoti jab ky is hadees ky mutabiq humen pata chalta hai ky waqai nazar e bad ka asar hota hai. Nazar e bad ki taseer itni hai ky agar koi shakhs thek thak ho aur usy nazar e bad lag gai aur us ny sunnat ky mutabiq us ka dum ya ilaj na karaya to usy koi aisi bemari lahaq ho sakti hai jis sy wo mar sakta hai, ya koi aisa accident ho sakta hai jis sy us ki jan chali jaye. Aur isi tarha aik oont jo bohat taqatwar janwar hai agar usy nazar e bad lag jaye to ho sakta hai wo mar jaye ya koi aisi bemari ho ky wo bach na sakta ho to us ka malik usy zibah kar ky us ka gosht kha jaye ga. Itni taseer hoti hai nazar e bad ky andar, is liye sunnat ky mutabiq is ka ilaj karna chahiye.

Nazr e Bad Ki Taseer | Quotes In Islam


Daily Islamic Quotes:
Jabir r.a. sy riwayat hai ky Rasool Allah s.a.w.w. ny
 irshad farmaya: "Nazar e bad aadmi ko qabar mein
 aur oont ko handiya mein pohncha daiti hai".


No comments