Breaking News

Momin Aur Kafir Ki Rooh | Quotes Of Muhammad S.A.W.W.

Description:
Ahaadees sy pata chalta hy ky momin ki rooh sy khushboo ati hy jab ky kafir o mushrik ki rooh badboo wali hoti hy. Hadees mein aya hy ky jab insan marta hy to farishty us ki rooh ly kar aasmaan e dunia par jaty hen aur awaz lagaty hen ky aasmaan ky darwazy khol diye jayen to agar rooh kisi momin ki ho gi to us ki khushboo sy hi farishty pehchan len gy aur darwazy kholty huy kahen gy marhaba marhaba aey momin rooh tum par salamti ho tum dunia mein bhi achy rahy aur akhirat mein bhi tum achy raho gy. Lekin agar rooh kisi kafir ya mushrik ki ho gi to farishty us ki badboo ki waja sy us ko pehchan len gy aur darwaza kholty huye kahen gy ky tum dunia mein bhi bury thy aur aakhirat mein bhi bury raho gy. Aur apni naak ko us ki badboo ki waja sy dhank lety hen.
ALLAH PAK humen aik khushboo dar rooh ki halat mein mout ata farmaye. Ameen

Momin Aur Kafir Ki Rooh | Quotes Of 
Muhammad S.A.W.W.


Muhammad S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Jab kisi momin ki rooh nikalti hy aur 2 farishty usy
 ly kar oopar charhty hen to aasmaan waly kehty hen
 ky ye pakeeza rooh zameen ki taraf sy ayi hy, Allah
 Taala tum par (aey rooh!) rehmat nazil farmaye aur is
 jism par jisy rooh abad rakhti thi. Phir is rooh ko 
Allah wa azo jal ki taraf ly jaya jata hy phir allah
 taala farmaty hen. Tum isy aakhri waqt tak ky liye 
(sidratul muntaha) ly chalo (jahan naik logon ki arwah hen).
Phir aap s.a.w.w. ny irshad farmaya:
Kafir ki rooh jab nikalti hy to aasmaan waly kehty hen
 ky khabees rooh zameen ki taraf sy ayi hy phir usy 
kaha jata hy tum isy aakhri waqt tak ky liye (sijjeen
 badkaar logon ki arwah ki jaga) ki taraf ly jao,
 Rasool Akram s.a.w.w. ny (kafir ki rooh ki sadan 
badboo ki waja sy) apni chadar apni naak mubarik
 par rakh li.


No comments