Breaking News

Qarz Ki Adaigi Ki Masnoon Dua | Quotes In Islam

Description:
Hum sub Alhamdulillah musalman hen aur musalman momin ki shan ye hy ky agar wo kisi sy qarz ly to waqt par aur pura pura ada kar dy. Kion ky Quran mein yahood o nasara ki ye khaslat bayan ki gai ky in mein kuch log aisy hen jin ko tum aik dirham bhi dy do to jab tak us ky sir par khary na raho tab tak wo wapis nahi kary ga. Tye khaslat yahood o nasara ki hy aur hamen un ki har aik bat sy mukhtalif amal karny ki hidayat ki gai hy. Aur wesy bhi ye ikhlaq sy bala tar baat hy ky aik shakhs ap ki zaroorat ky waqt madad kary to baad mein ap us ko takleef do aur usy waqt par qarz wapis na karo. Is quote mein yahi bayan kia gaya hy ky qarz ki raqam ki wapsi ky waqt ye dua parho ta ky ap ky aur us shakhs ky maal o daulat aur aehl o ayyal mein barkat ho. Jab hum waqt par qarza wapis karen gy to agla banda bhi ye sochy ga ky ye zuban ka pakka hy usy hum py aitbar ho ga aur ayenda zindgi mein phir kabhi zaroorat ho gi to wo bila jhijak qarz deny ko razi ho jaye ga. Aur agar hum usy pehli baar hi latka ky rakhen gy qarz ki wapsi mein to ayenda wo kabhi bhi humen qarz nahi dy ga.

Qarz Ki Adaigi Ki Masnoon Dua | Quotes In Islam


Hadees e Maqbool S.A.W.W. Hy:
Abu rabeea R.A. farmaty hen ky Nabi akram s.a.w.w. ny
 mujh sy aik martaba 40,000 dirham qarz liye. Phir jab
 aap s.a.w.w. ky pas maal aa gaya to aap s.a.w.w. ny 
mujhy wo qarz lota dia aur farmaya:
"Allah taala ap ky aehl o ayyal aur maal mei barkat dy,
 qarz ka badla qarz deny waly ki taareef karna aur
 waqt par adayegi kar dena hy".


No comments