Breaking News

Qayam e Pakistan Ka Maqsad | Daily Quotes

Description:
Pakistan ka naara jab buland hua to aik hi awaz thi, pakistan ka matlab kia LA ILAAHA ILLALLAH. Yani pakistan ki bunyad hi kalima sy hui hy. Pakistan ka maqsad hi aik aisi fertile zameen chahye thi jahan islam puri tarah phal phool sakta. Jaisa ky is post mein jinnah sahib ka quote hy hum ny sirf aik tukra zameen ky liye itni qurbanian nahi di ky humen bus hindustan sy is liye alag hona tha ky humen bus alag mulk mil jaye. Nahi bal ky humara maqsad aik aisi jaga hasil karna thi ky jahan musalman azaadi ky sath apny deen islam par chal saken aur usy parwan charha saken. Lekin aj is mulk ky halat bohat hi bury hen. Musalman kehalwany waly aik dusry ky khoon ky piyasy hen. Chori, daketi, zina, sharab khori, haram kari sab kaam is zameen par ho rahy hen. Khudara kuch khof karo aur isy islam ki bunyad hi rehny do aur isy aik azaad islami mamlikat ky tor par dunia mein mutaarif karwao.

Qayam e Pakistan Ka Maqsad | Daily Quotes


Daily Quotes:
13 January 1948 ko Islamia college, peshawar ky jalsy
 mein husool e pakistan ka maqsad bayan karty huye
 quaid e pakistan Muhammad ali jinnah ny farmaya tha:
"Hum ny pakistan ka mutalba aik zameen ka tukra hasil
 karny ky liye nahi kia tha bal ky hum aik aisi tajarba
 gaah hasil karna chahty thy jahan hum islam ky
 usoolon ko aazmaa saken.


No comments