Breaking News

Qayamat Ka Manzar | Allah Quotes & Sayings

Description:
Quran aur hadees mein qayamat ki nishaniyon ka zikar kasrat sy mojod hai. Ye ayat bhi qayamat ky manzar ko bayan karti hai ky zameen us din bilkul roshan kar di jaye gi ky koi andhera baqi na rahy ga. Aur har aik insan Adam a.s. sy ly kar qayamat ky din tak akhiri paida hony waly bachy tak ko us ka nama e amal dy dia jaye ga ky khud parho aur faisla kar lo. Har aik ummat par us ka Nabi paish kia jaye ga aur har gawah ko hazir kar dia jaye ga ky kisi ka koi uzr na rahy. Aur jab faisla kiya jaye ga to Rab wo faisla karen gy jo haq ho ga aur kisi par ratti barabar bhi zulm nahi ho ga. Koi ye nahi kahy ga ky us ky sath na insafi hoi hai, kion ky wo khud apna nama e amal dekhy ga aur apny anjam sy khabardar ho jaye ga. 

Qayamat Ka Manzar | Allah Quotes & Sayings


Quranic Quote:
Aur zameen apny parwardigar ky noor sy chamak
 uthy gi, aur nama e amal samny rakh dia jaye ga, 
aur anbiya aur sab gawahon ko hazir kar diya jaye ga,
 aur logon ky darmiyan bilkul barhaq faisla kiya jaye ga,
 aur un par koi zulm nahi hoga.


No comments