Breaking News

Shaitan Ka Shar Rehman Ka Reham | Quotes In Islam

Description:
Aik riwayat ky mutabiq ye waqia is tarah hai ky jab shaitan ny Adam a.s. ko sajda karny sy inkar kia to Allah ny usy kafir ka laqab dia aur usy dhutkar kar jannat sy be dakhal kar dia aur hamesha ky liye lanat us ka muqaddar kar di. Jab shaitan ko jannat sy nikala jany laga tab us ny Rab sy ye kaha ky mujhy akhirat ky din tak mohlat dy ta ky main apny chaily banaon aur insan ki aulad ko bhatkata rahon. Tab Allah Pak ny usy ye mohlat dy di aur kaha ky tera waar mery bandon par nahi chaly ga. Tab Shaitan ny ghusy aur ghazab mein aa kar ye quote kahi ky "Mujhy teri izzat ki qasam main tery bandon ko gumrah karta rahon ga". Tab shan e Raheemi o Kareemi josh mein ayi aur Rab ny farmaya ky tu gumrah kar beshak unhen lekin jo banda mujh sy muafi mangy ga maghfirat talab kary ga main usy bakhsh don ga us ki maghfirat kar don ga. Hum sab ko chahiye ky apny gunah chor den aur jo nadani mein kar bethy hein un ki apny Rab sy maghfirat talab karen.

Shaitan Ka Shar Rehman Ka Reham | Quotes In Islam


Hadees e Rasool SAW:
Abu Saeed Khudri r.a. sy riwayat hai ky Rasool 
Akram s.a.w.w. ny irshad farmaya: "Shaitan ny 
(Bargah e Ilahi mein) kaha:
Aey Rab! Mujhy teri izzat ki qasam! tery bandon ky 
jismon mein jab tak rooh (jaan) baqi rahy gi main
 unhen gumrah karta rahon ga".
Allah Rab ul Izzat ny farmaya: "Mujhy apni izzat o jalal
 ki qasam! Jab tak mery bandy mujh sy maghfirat mangty
 rahen gy main bhi un ki maghfirat karta rahon ga".


No comments