Breaking News

Sab Sy Behtreen Dua | Dua Quotes

Description:
Allah ky Rasool, Khataman Nabi s.a.w.w. ny musalmano ko bohat si duaen sikhai hen. Lekin ye dua bohat hi qeemati hy aur apny andar sab duaon ko samety huye hy. Jaisa ky dunyavi lihaz sy hum acha libas, acha ghar, dunia ka maal o daulat, achi bv aur bety, aur dunia mein apna naam oncha chahty hen to ye sab duayen is choti dua mein hy. Wo is tarah ky is dua mein hy ky main dunia ki aafiyat mangta hon, aur insan ko dunia mein aafiat kesy mily gi jab wo khush hal ho ga, ye sab cheizen us ki zindgi mein hon gi. Aur dusra hissa akhirat ka hy us mein bhi bohat si duayen chupi hui hen. Jaisa ky insan dua karta hy ky Ya Allah mujhy jahanum ki aag sy bacha, jannat ki lazawal naimaton mein shamil kar, qayamat ky din main dahiny hath waly logon mein hon aur bohat si aisi dusri duayen jo akhirat sy mutaliq hen. Dusry hissy mein akhirat ki aafiyat mangi gai hy wo bhi isi tarha mily gi jab insan akhirat mein jahanum sy bacha lia jaye, jannat mein dakhil kia jaye, achy logon mein us ko shamil kar lia jaye. Ye sab duayen is dua ky akhri hissy mein mojod hy. Allah Pak humen dunia o akhirat ki aafiyat ata farmaye. (Ameen)

Sab Sy Behtreen Dua | Dua Quotes


Nabi Akram S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Insan ki mangi jany wali duaon mein
 sy is sy behtar koi dua nahi: 
"Aey Allah! Beshak main aap sy dunia
 aur aakhirat ki aafiyat mangta hon".


No comments