Breaking News

Maa Ky Sath Husn e Salook | Quotes In Islam

Description:
Allah ky Rasool s.a.w.w. sy kisi ny pucha ky insan par sab sy zayada haq kis ka hy? Farmaya us ki maa ka. Phir pucha ky us ky bad, farmaya us ki maa ka. Phir pucha ky us ky bad kis ka, farmaya us ki maa ka. Phir pucha gaya ky us ky bad kis ka, farmaya us ky baap ka. Ye haq, ye qadar o manzilat hy maa ki islam mein. Ky Nabi ki zuban sy 3 bar maa ki fazeelat us ka haq bayan kia gaya us ky bad baap ka darja aya. Maa ky sath husn e salook ki ahaadees mein bohat zayada fazeelat bayan hui hy. Jaisa ky is post mein bhi bataya gaya ky maa ky sath husn e salook jannat mein dakhly ki zamanat hy. Aik riwayat mein milta hy ky Nabi s.a.w.w. ny farmaya ky maa ky qadmon taly jannat hy. Yani jo banda maa ki khidmat kary ga aur wo ho bhi momin banda to us ky liye jannat wajib kar di jati hy. Allah pak humen apny waldain khas tor par apni walida ky sath husn e salook ki taufeeq ata farmaye. Ameen

Maa Ky Sath Husn e Salook | Quotes In Islam


Nabi Kareem S.A.W.W. Ny Irshad Farmaya:
Main ny soty huye khawab mein apny aap ko 
jannat mein daikha aur jannat mein aik qari ki
 awaz suni jo quran parh raha tha. Main ny pucha
 ky ye kon hy? Farishton ny jawab dia: Ye Harisa
 bin Nouman r.a. hen. Phir aap s.a.w.w. ny irshad
 farmaya: "Asal naiki yahi hy, asal naiki yahi hy".
Aur Harisa bin Nouman r.a. (ki khoobi ye thi ky wo)
 logon mein sab sy zayada apni maa ky sath 
husn e salook karny waly thy.


1 comment:

  1. http://islamidesk.blogspot.com/2017/04/best-islamic-quotes-about-ramadan-month.html

    ReplyDelete