Breaking News

Umda Akhlaq Aur Khamoshi Ki Fazeelat | Quotes Of Muhammad S.A.W.W.

Description:
Nabi Akhiruz zaman Muhammad s.a.w.w. ki har aik baat bohat hi zayada naseehat aamaiz aur nataij ky lihaz sy bohat hi painda tar hoti thin. Aap s.a.w.w. apny sahaba ko bohat achy tariqy sy samjhaty thy ky wo bilkul thek tarha samajh jaen kion ky aap s.a.w.w. ky bad deen un sahaba ky zarye phailna tha. Is qoul e Maqbool mein bhi bohat si hikmat ki baten chupi hui hen. Jab aik insna khamosh rehta hy to dusry insan ko nahi pata chalta ky ye banda kis tabiat kis mizaj ka hy. Aur log us sy koi bad kalami ya bad tehzeebi nahi karty. Jab ky jo shakhs har waqt bak bak karta rehta hy dunia walon ki nazar mein apna waqar kho daita hy aur koi bhi shakhs us ky sath kisi bhi waqt koi bhi bad tamizi kar sakty hen. Isi tarha jo shakhs umda ikhlaq ka muzahira kary ga logon mein us ki naik naami ho gi aur log us ky sath burai karny sy mana rahen gy ky ye insan bohat achy hy is ky sath burai karna ghalat hy. Jab ky agar koi shakhs bad ikhlaq hoga to sab us sy panah chahen gy aur us ky sath bura karny ka sochty rahen gy. Is liye Rasool s.a.w.w. ki ye hikmat amaiz baton par humen amal karna chahye.

Umda Akhlaq Aur Khamoshi Ki Fazeelat | 
Quotes Of Muhammad S.A.W.W.


Hadees e Maqbool e Rasool S.A.W.W. Hy:
Rasool Allah s.a.w.w. ny Abu Zar r.a. sy irshad farmaya:
 "Aey Abu Zar r.a.! Kia tumhen aisi 2 baten na 
bataon jo peeth par bohat halki hon aur meezan
 (naam e aamaal) mein boaht bhari?" Abu Zar r.a.
 farmaty hen ky main ny arz kia: Zarur batayen.
 Rasool Allah s.a.w.w. ny irshad farmaya:
(1) Zayada khamosh rehna
(2) Aur umda akhlaq


No comments