Farq Talash Karen | Daily Quotes
Description:
Is dunia mein kuch log ameer hen to kuch ghareeb hen, kuch log khubsoorat hen to kuch bad surat dikhai dety hen, kuch insan mard hen to Allah ny kuch sanf e nazuk aurten bhi paida ki hen, koi musalman hai to koi dusry mazhab ka pairokar hai. Is dunia mein insan ki alag alag pehchan us ny khud banai hai. Lekin gal sar jany ky bad in khopriyon mein farq karna mushkil hai, ab agar in ky darmiyan choty bary hony ka koi farq ho sakta hai to iman, taqwa aur aamaal e shaliha ki bunyad par ho sakta hai. Kion ky Allah ky han sab insan aik jaisy hen bs wo log pasandeeda hen jo momin hen aur naik amal karty rahy hen. Phir chahy wo kala ho ya gora ho, habshi ho ya gora chitta angraiz ho, chota ho ya bara ho, ameer ho ya ghareeb ho.
Farq Talash Karen | Daily Quotes
Quote Of The Day:
Insan duniya mein insan jis haal mein bhi raha hoga
jis soorat mein bhi raha ho ga lekin akhirat mein
apny Aamaal sy pehchana jaye ga.
No comments